Shaanul Haq Haqqi

jo ho wara-e-zat wo jina hi aur hai

Shaanul Haq Haqqi

Delhi, India

1917-2005
jo ho varā-e-zāt vo jiinā hī aur hai
jiine kā ahl-e-dil ke qarīna hī aur hai
tum sikka-e-ravāñ kī havas meñ ho tum ko kyā
juuyā haiñ jin ke ham vo ḳhazīna hī aur hai
ham sāhil-e-najāt pe kashtī jalā chuke
ab rahnumā koī na safīna hī aur hai
likh kar diyā thā us ne jo va.ada visāl kā
us meñ koī nayā sā mahīna hī aur hai
pheñkī na jaane us ne mirī qāsh-e-dil kahāñ
añgushtarī meñ ab to nagīna hī aur hai
pahuñchā sambhal sambhal ke sar-e-bām tab khulā
manzil nahīñ ye us kī ye ziina hī aur hai
vo din ga.e ki sote the ham bhī pasāre paañv
muddat se ab to shaġhl-e-shabīna hī aur hai
'haqqī' ye apnā chashma-e-rañgīñ utāriye
dekheñge phir ki dīda-e-bīnā hī aur hai
Top Urdushayar.com