Shaanul Haq Haqqi

idhar mausam ki ye KHush-e-ehtimami

Shaanul Haq Haqqi

Delhi, India

1917-2005
idhar mausam kī ye ḳhush-e-ehtimāmī
udhar rindoñ kī ye hasrat-bajāmī
havā.eñ chal rahī haiñ sansanātī
ghaTā.eñ uTh rahīñ haiñ dhūm-dhāmī
ye hai aks-e-hilāl ai mauj-e-sāhil
ki shamshīr-e-badan kī be-niyāmī
phaḌaktā jā misāl-e-bāl-e-jibrīl
na chup ho ai dil ai mere payāmī
khule haiñ pāñch dar ik samt-e-dariyā
navishte meñ yahīñ thī ek ḳhāmī
bahut hai arsh par dam bhar kā pherā
nahīñ bhātī hameñ qaid-e-maqāmī
nahīñ hai chashm-e-fitrat meñ koī phuul
zamīñ kī kokh kā jaayā harāmī
sunā do un ko ye bhī qaul-e-'haqqī'
abhī tak soch meñ jin kī hai ḳhāmī
Top Urdushayar.com