ik mahak sī dam-e-tahrīr kahāñ se aa.ī
naam meñ tere ye tāsīr kahāñ se aa.ī
pahlu-e-sāz se ik mauj-e-havā guzrī thī
ye chhanaktī huī zanjīr kahāñ se aa.ī
dam hamārā to rahā halqa-e-lab hī meñ asiir
bū-e-gul ye tirī taqdīr kahāñ se aa.ī
ahl-e-himmat ke miTāne se to fāriġh ho le
dahr ko fursat-e-tāmīr kahāñ se aa.ī
go tarastā hai abhī tak tirī tahrīr ko dil
phir bhī jaane tirī tasvīr kahāñ se aa.ī
yūñhī ho jaatā hai qismat se koī ġham bedār
ishq ke haath meñ tadbīr kahāñ se aa.ī
kis taraf jaate haiñ yaaro ye bigaḌte hue naqsh
ye sañvartī huī tasvīr kahāñ se aa.ī
lahn-e-bulbul kā chalā kaun se gul par afsūñ
sirf ik tarz hai tāsīr kahāñ se aa.ī
paḌ gayā soz-e-suḳhan haath hamāre kyūñkar
ḳhaak hone ko ye iksīr kahāñ se aa.ī