tum se ulfat ke taqāze na nibāhe jaate
varna ham ko bhī tamannā thī ki chāhe jaate
dil ke māroñ kā na kar ġham ki ye andoh-nasīb
zaḳhm bhī dil meñ na hotā to karāhe jaate
kam-nigāhī kī hameñ ḳhud bhī kahāñ thī taufīq
kam-nigāhī ke liye uzr na chāhe jaate
kaash ai abr-e-bahārī tire bahke se qadam
merī ummīd ke sahrā meñ bhī gaahe jaate
ham bhī kyuuñ dahr kī raftār se hote pāmāl
ham bhī har laġhzish-e-mastī ko sarāhe jaate
lazzat-e-dard se āsūda kahāñ dil vaale
haiñ faqat dard kī hasrat meñ karāhe jaate
hai tire fitna-e-raftār kā shohrā kyā kyā
garche dekhā na kisī ne sar-e-rāhe jaate
dī na mohlat hameñ hastī ne vafā kī varna
aur kuchh din ġham-e-hastī se nibāhe jaate