vo kahāñ vaqt ki moḌeñge inaañ aur taraf
dil kisī aur taraf hai to zabāñ aur taraf
haiñ abhī ahl-e-havas sūd-o-ziyāñ ke hī asiir
pherte haiñ yūñhī bātoñ se gumāñ aur taraf
āh-e-sozāñ ko mirī dekh na dekhā hogā
ki havā aur taraf kī ho dhuāñ aur taraf
ruḳh rahā tā-ba-sahar aur hī jānib apnā
aur thā matla-e-anvār-fashāñ aur taraf
baiTh kar rū-ba-qazā ḳhush haiñ ki goyā ham ne
moḌ Daalī hai zamāne kī inaañ aur taraf
yuuñ palaT jaatī haiñ har lahza vo nazreñ jaise
joḌ kar tiir ko khiñchtī hai kamāñ aur taraf
chāhiye baaġh ko bas ek lahū kā chhīñTā
aan kī aan meñ jaatī hai ḳhizāñ aur taraf