īmā-e-ġhazal kartī haiñ mausam kī adā.eñ
ik mauj-tarannum kī havas meñ haiñ fazā.eñ
naġhmoñ kī zabāñ meñ koī samjhe to batā.eñ
kyā chiiz hai ye tarz ye tarheñ ye adā.eñ
roke na ga.e sīna-e-ḳhārā se vo tūfāñ
haiñ jin ko kināroñ meñ liye nañg qabā.eñ
ā.īne se hotī haiñ salāheñ ki kisī ko
jab ḳhuub miTānā ho to kis tarah miTā.eñ
aisī hī tire shahr meñ hotī hai muravvat
aisī hī mire des meñ hotī haiñ vafā.eñ
dekhe koī aflāk kā ye josh-e-tabāhī
tinke ko Darnā ho to tūfān uThā.eñ
Thahrā huuñ isī baat pe maiñ lā.iq-e-tāzīr
jis baat pe baḳhshī ga.iiñ auroñ kī ḳhatā.eñ
dīvānoñ ko duniyā se ulajhne kī kahāñ taab
fursat ho to ik aur hī duniyā na banā.eñ
ye kaun se zindāñ kī girā.ī ga.ī dīvār
ye kaun sī ta.amīr kī uThtī haiñ binā.eñ
ai maskan-e-ḳhūbān-e-zamāñ shahr-e-azīzāñ
ham bhī kabhī bikne tire bāzār meñ aa.eñ