Shaanul Haq Haqqi

wo maza rakhte hain kuchh taza fasane apne

Shaanul Haq Haqqi

Delhi, India

1917-2005
vo mazā rakhte haiñ kuchh taaza fasāne apne
bhūlte jaate haiñ sab dard purāne apne
kar ke ik baar tirī chashm-e-fusūñ-gar ke supurd
phir na pūchhā kabhī bandoñ ko ḳhudā ne apne
bazm-e-yārāñ meñ vo ab kaif kahāñ hai baaqī
roz jaate haiñ kahīñ jī ko jalāne apne
haal meñ apne kuchh is tarah magan haiñ goyā
ham ne dekhe hī nahīñ agle zamāne apne
ham vahī haiñ ki jahāñ baat kisī ne pūchhī
ḳhush-gumāñ ho ke lage daaġh dikhāne apne
ham-nashīñ dost kī sūrat to kahāñ miltī hai
chain se vo hai jo dushman ko na jaane apne
zikr se us ke sañvārā hai suḳhan ko 'haqqī'
ḳhush-mazā lagte haiñ kānoñ ko tarāne apne
Top Urdushayar.com