Shaanul Haq Haqqi

naghma yun saz mein taDpa meri jaan ho jaise

Shaanul Haq Haqqi

Delhi, India

1917-2005
naġhma yuuñ saaz meñ taḌpā mirī jaañ ho jaise
merā dam ho mire siine kī fuġhāñ ho jaise
yak-ba-yak ruuh meñ uTThā hai vo tūfān-e-ḳhamosh
vādi-e-gul meñ nasīm-e-guzarāñ ho jaise
naġhma-o-raqs huī jaatī hai har mauj-e-ḳhayāl
chāñdnī-rāt meñ dariyā kā samāñ ho jaise
kyā sunātī hai ye sāzoñ kī sadā-e-dil-soz
kuchh hamīñ dard-nasīboñ kā bayāñ ho jaise
yuuñ tirī chashm-e-mudārāt pe dil bholā hai
nashsha-e-mai pe javānī kā gumāñ ho jaise
dil hai yuuñ be-dilī-e-hosh ke hāthoñ larzāñ
koī qātil se talab-gār-e-amāñ ho jaise
raah jiine kī kahāñ soḳhta-jānī ke baġhair
har nafas sho.ala-e-ḳhātir kā dhuāñ ho jaise
ḳhuub naqsha hai mire fikr kī jaulānī kā
koī kam-baḳht asīrī meñ javāñ ho jaise
us ne yuuñ arz-e-mohabbat pe sambhal kar dekhā
us ke dil ko to ḳhabar ho na gumāñ ho jaise
ik navā hāsil-e-sad-ahd-e-fuġhāñ hai 'haqqī'
bū-e-gul laakh bahāroñ kā nishāñ ho jaise
Top Urdushayar.com