asar na ho to usī nutq-e-be-asar se kah
chhupā na dard-e-mohabbat jahān bhar se kah
jo kah chukā hai to andāz-e-tāza-tar se kah
ḳhabar kī baat hai ik gosh-e-be-ḳhabar se kah
chaman chaman se ukhaḌ kar rahegā pā-e-ḳhizāñ
ravish ravish ko jatā de shajar shajar se kah
bayān-e-shauq nahīñ qīl-o-qāl kā mohtāj
kabhī fuġhāñ meñ adā kar kabhī nazar se kah
vazīr o miir ke kyā gosh-e-be-asar se ḳhitāb
murād dil kī gadāyān-e-rahguzar se kah
shabāb-e-tishna kī ḳhūñ-bār noshiyoñ ko na bhuul
mire fasāna-e-rangīñ ko peshtar se kah
safar se shart-e-hayāt aur jihat hai shart-e-safar
pukār kar ye rafīqān-e-ham-safar se kah