paa.ī na koī manzil pahuñchīñ na kahīñ rāheñ
bhaTkā ke rahīñ mujh ko āvāra guzargāheñ
ālām-e-zamāna se chhūTeñ to tujhe chāheñ
masrūf-e-mashaqqat haiñ hasrat se bharī bāñheñ
sahrā hī se guzrī thiiñ khoī ga.iiñ jo rāheñ
batlā.eñge ye chashme ye ban ye charāgāheñ
shamshīr kī zad par haiñ kuchh aur hamīñ jaise
hañgām-e-taqāzā kyā ai dil vo jise chāheñ
kyā ruup badalte haiñ tasvīr meñ Dhalte haiñ
āñkhoñ meñ ruke aañsū siine meñ dabī aa.heñ
ab kaun kahe taarā TuuTā to kahāñ pahuñchā
āzād kī har duniyā barbād kī sau rāheñ
ab naam ġham-e-dil kā tasvīr o qalam tak hai
tūfāñ ne safīnoñ meñ DhūñDī haiñ panah-gāheñ
tash.hīr-e-junūñ kahiye yā zauq-e-suḳhan 'haqqī'
arzāñ haiñ mire aañsū rusvā haiñ mirī aa.heñ