Shaanul Haq Haqqi

duniya hi ki rah pe aaKHir rafta rafta aana hoga

Shaanul Haq Haqqi

Delhi, India

1917-2005
duniyā hī kī raah pe āḳhir rafta rafta aanā hogā
dard bhī degā saath kahāñ tak be-dil hī ban jaanā hogā
hairat kyā hai ham se baḌh kar kaun bhalā begāna hogā
ḳhud apne ko bhuul chuke haiñ tum ne kyā pahchānā hogā
dil kā Thikānā DhūñDh liyā hai aur kahāñ ab jaanā hogā
ham hoñge aur vahshat hogī aur yahī vīrāna hogā
biit gayā jo yaad meñ terī ik ik lamhe kā hai dhyān
ulfat meñ jī hārnā kaisā jo khoyā sab paanā hogā
aur to sab dukh baT jaate haiñ dil ke dard ko kaun baTā.e
duniyā ke ġham bar-haq lekin apnā bhī ġham khānā hogā
dil meñ hujūm-e-dard hai lekin aah ke bhī ausān nahīñ
is badlī ko yūñhī āḳhir bin barse chhaT jaanā hogā
ham to fasāna kah kar apne dil kā bojh utaar chale
tum jo kahoge apne dil se vo kaisā afsāna hogā
is bastī kā kaun masīhā is bastī kā kaun ḳhudā
ḳhud hī hashr uThāne hoñge marnā aur jī jaanā hogā
Top Urdushayar.com