har-chand ki sāġhar kī tarah josh meñ rahiye
saaqī se mile aañkh to phir hosh meñ rahiye
kuchh us ke tasavvur meñ vo rāhat hai ki barsoñ
baiThe yūñhī is vādī-e-gul-posh meñ rahiye
ik saada tabassum meñ vo jaadū hai ki pahroñ
Duube hue ik naġhma-e-ḳhāmosh meñ rahiye
hotī hai yahāñ qadr kise dīda-varī kī
āñkhoñ kī tarah apne hī āġhosh meñ rahiye
Thahrā.ī hai ab hāl-e-ġham-e-dil ne ye sūrat
mastī kī tarah dīda-e-mai-nosh meñ rahiye
himmat ne chalan ab ye nikālā hai ki chubh kar
kāñTe kī tarah pā-e-talab-kosh meñ rahiye
āsūda-dilī raas nahīñ arz-e-suḳhan ko
hai shart ki dariyā kī tarah josh meñ rahiye