Shaanul Haq Haqqi

itna hi nahin hai ki tere bin na raha jae

Shaanul Haq Haqqi

Delhi, India

1917-2005
itnā hī nahīñ hai ki tire bin na rahā jaa.e
vo jaañ pe banī hai ki jiye bin na rahā jaa.e
ab dastaras-e-shauq hai bas naam tak us ke
akasr jise sau tarah likhe bin na rahā jaa.e
ġham-burda sahī ġhuncha-e-afsurda sahī dil
tum pyaar se dekho to khile bin na rahā jaa.e
hai dil hī vo nādāñ ki ho tadbīr se naumīd
aur phir koī tadbīr kiye bin na rahā jaa.e
uftād meñ kuchh sa.ī-e-matānat nahīñ chaltī
rone ko jo rokeñ to hañse bin na rahā jaa.e
ham vo haiñ ki sad-ka.aba o sad-dair ke hote
gosha koī ta.amīr kiye bin na rahā jaa.e
kuchh der guzartī hai ki ai bulbul-e-nāshād
sayyād se naḳhchīr hue bin na rahā jaa.e
har chand ki furqat meñ tirī zahr ho jiinā
kuchh qahr hai aisā ki jiye bin na rahā jaa.e
Top Urdushayar.com