Shaanul Haq Haqqi

wahi ek fareb hasrat ki tha baKHshish-e-nigaran

Shaanul Haq Haqqi

Delhi, India

1917-2005
vahī ik fareb hasrat ki thā baḳhshish-e-nigārāñ
so qadam qadam pe khāyā ba tarīq-e-puḳhta-kārāñ
vo chale ḳhizāñ ke Dere ki hai āmad-e-bahārāñ
shab-e-ġham ke rah-nashīnoñ kaho ab salāh-e-yārāñ
mire āshiyāñ kā kyā hai mirā āsmāñ salāmat
haiñ mire chaman kī raunaq yahī barq-o-bād-o-bārāñ
na sahī pasand-e-hikmat ye shi.ār-e-ahl-e-dil hai
kabhī sar bhī de diyā hai ba-salāh-e-dost-dārāñ
rahe husn ban ke āḳhir jo ḳhayāl udhar se guzre
ye kidhar kī chāñdnī thī sar-e-ḳhāk-e-rah-e-guzārāñ
mire ek dil kī ḳhātir ye kashākash-e-havādis
tire ek ġham ke badle ye hujūm-e-ġham-gusārāñ
mirī vahshatoñ ne jis ko na banā ke raaz rakkhā
vahī raaz hai ki ab tak hai miyān-e-rāz-dārāñ
kisī manchale ne bhejā hai mai-e-suḳhan se bhar kar
ki ye sāġhar-e-dil-afzā hai ye nazr-e-dil-nigārāñ
Top Urdushayar.com