Shaanul Haq Haqqi

bikhar jaegi sham aahista bolo

Shaanul Haq Haqqi

Delhi, India

1917-2005
bikhar jā.egī shaam āhista bolo
taḌak jā.eñge jaam āhista bolo
na do dāġhoñ ke bhed aahoñ ko roko
na lo nāloñ kā naam āhista bolo
na le tanhā.ī kī rātoñ meñ ik din
ḳhamoshī intiqām āhista bolo
yahī hote haiñ ādāb-e-mohabbat
ki jab lo us kā naam āhista bolo
na jaane kaun baiThā ho kamīñ meñ
añdherī hai ye shaam āhista bolo
fuġhān-e-dil se kis kā dil pasījā
ye hai saudā-e-ḳhām āhista bolo
abhī to raah meñ dīvār-o-dar haiñ
abhī do chaar gaam āhista bolo
bahut hai sadma-e-yak-āh us ko
hai nāzuk ye nizām āhista bolo
abhī to bāda-e-ulfat kā 'haqqī'
piyā hai ek jaam āhista bolo
Top Urdushayar.com