fitne jo ka.ī shakl-e-karishmāt uThe haiñ
kuchh dil meñ anokhe se ḳhayālāt uThe haiñ
mahfil meñ vo jab bahr-e-mulāqāt uThe haiñ
hamrāz se karte hue kuchh baat uThe haiñ
āñdhī to abhī sahn-e-chaman tak nahīñ pahuñchī
ik jhoñke se sūkhe hue kuchh paat uThe haiñ
hir-phir ke vahī sāmne thā parda-e-auhām
kahne hī ko āñkhoñ se hijābāt uThe haiñ
man mast haiñ is tarah ravāñ nafs ke pīchhe
sar karne ko goyā ki muhimmāt uThe haiñ
ai shaiḳh na ye kufr na fitna hai na shar hai
ik ham bhī sunāne ko na.ī baat uThe haiñ
sairābī-e-jāñ dekh ki ham bazm se us kī
āñkhoñ meñ basā.e hue barsāt uThe haiñ