Behzad Lakhnavi

masrur bhi hun KHush bhi hun lekin KHushi nahin

Behzad Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1900-1974
masrūr bhī huuñ ḳhush bhī huuñ lekin ḳhushī nahīñ
tere baġhair ziist to hai zindagī nahīñ
maiñ dard-e-āshiqī ko samajhtā huuñ jān-o-rūh
kambaḳht vo bhī dil meñ kabhī hai kabhī nahīñ
lā ġham hī Daal de mire dast-e-savāl meñ
maiñ kyā karūñ ḳhushī ko jo terī ḳhushī nahīñ
kuchh der aur rahne de ḳhuddārī-e-junūñ
dāman to chaak honā hai lekin abhī nahīñ
saaqī nigāh-e-nāz se lillāh kaam le
sau jaam pī chukā huuñ magar be-ḳhudī nahīñ
rakhnā paḌegī tum ko tahī-dāmanī kī laaj
mujh ko kamī zarūr hai tum ko kamī nahīñ
'bahzād' saaf saaf maiñ kahtā huuñ hāl-e-dil
sharminda-e-kamāl mirī shā.irī nahīñ
Top Urdushayar.com