Behzad Lakhnavi

tere ishq mein zindagani luTa di

Behzad Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1900-1974
tire ishq meñ zindagānī luTā dī
ajab khel khelā javānī luTā dī
nahīñ dil meñ dāġh-e-tamannā bhī baaqī
unhīñ par se un kī nishānī luTā dī
kuchh is tarah zālim ne dekhā ki ham ne
na sochā na samjhā javānī luTā dī
tumhāre hī kāran tumhārī badaulat
tumhārī qasam zindagānī luTā dī
adāoñ ko dekhā nigāhoñ ko dekhā
hazāroñ tarah se javānī luTā dī
ġhazab to ye hai ham ne mahfil kī mahfil
sunā kar vafā kī kahānī luTā dī
jahāñ koī dekhā hasīñ jalva-ārā
vahīñ ham ne apnī javānī luTā dī
nigāhoñ se saaqī ne sahbā-e-ulfat
sitam ye hai tā-dūr-e-sānī luTā dī
javānī ke jazboñ se allāh samjhe
javānī jo dekhī javānī luTā dī
bujhā.ī hai pyaas aaj dāman kī ham ne
sharāb-e-nazar kar ke paanī luTā dī
tumhīñ par se 'bahzād' ne be-ḳhudī meñ
kyā dil tasadduq javānī luTā dī
Top Urdushayar.com