Behzad Lakhnavi

tumhaare husn ki tasKHir aam hoti hai

Behzad Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1900-1974
tumhāre husn kī tasḳhīr aam hotī hai
ki ik nigāh meñ duniyā tamām hotī hai
jahāñ pe jalva-e-jānāñ hai anjuman-ārā
vahāñ nigāh kī manzil tamām hotī hai
vahī ḳhalish vahī sozish vahī tapish vahī dard
hameñ sahar bhī ba-andāz-e-shām hotī hai
nigāh-e-husn mubārak tujhe dar-andāzī
kabhī kabhī mirī mahfil bhī aam hotī hai
zahe nasīb meñ qurbān apnī qismat ke
tire liye mirī duniyā tamām hotī hai
namāz-e-ishq kā hai inhisār ashkoñ tak
ye be-niyāz-e-sujūd-o-qayām hotī hai
tirī nigāh ke qurbāñ tirī nigāh kī Tiis
ye nā-tamām hī rah kar tamām hotī hai
vahāñ pe chal mujhe le kar mire samand-e-ḳhayāl
jahāñ nigāh kī mastī harām hotī hai
kisī ke zikr se 'bahzād' mubtalā ab tak
jigar meñ ik ḳhalish-e-nā-tamām hotī hai
Top Urdushayar.com