ik bevafā ko dard kā darmāñ banā liyā
ham ne to aah kufr ko īmāñ banā liyā
dil kī ḳhalish-pasañdiyāñ haiñ ki allāh kī panāh
tīr-e-nazar ko jān-e-rag-e-jāñ banā liyā
mujh ko ḳhabar nahīñ mire dil ko ḳhabar nahīñ
kis kī nazar ne banda-e-ehsāñ banā liyā
mahsūs kar ke ham ne mohabbat kā har alam
ḳhvāb-e-subuk ko ḳhvāb-e-pareshāñ banā liyā
dast-e-junūñ kī uqda-kushā.ī to dekhiye
dāman ko be-niyāz garebāñ banā liyā
taskīn-e-dil kī ham ne bhī parvāh chhoḌ dī
har mauj-e-ġham ko hāsil-e-tūfāñ banā liyā
jab un kā naam aa gayā ham muztarib hue
aahoñ ko apnī ziist kā unvāñ banā liyā
ham ne to apne dil meñ vo ġham ho ki ho alam
jo koī aa gayā use mehmāñ banā liyā
ā.īna dekhne kī zarūrat na thī koī
apne ko ḳhud hī aap ne hairāñ banā liyā
ik be-vafā pe kar ke tasadduq dil-o-jigar
'bahzād' ham ne ḳhud ko pareshāñ banā liyā