un ko but samjhā thā yā un ko ḳhudā samjhā thā maiñ
haañ batā de ai jabīn-e-shauq kyā samjhā thā maiñ
allāh allāh kyā ināyat kar ga.ī mizrāb-e-ishq
varna sāz-e-zindagī ko be-sadā samjhā thā maiñ
un se shikva kyuuñ karūñ un se shikāyat kyā karūñ
ḳhud baḌī mushkil se apnā mudda.ā samjhā thā maiñ
merī hālat dekhiye merā taḌapnā dekhiye
aap ko is se ġharaz kyā hai ki kyā samjhā thā maiñ
khul gayā ye raaz un āñkhoñ ke ashk-e-nāz se
kaifiyāt-e-husn ko ġham se judā samjhā thā maiñ
ai jabīn-e-shauq haañ tujh ko baḌī zahmat huī
aaj har zarre ko un kā naqsh-e-pā samjhā thā maiñ
ik nazar par munhasir thī ziist kī kul kā.enāt
har nazar ko jaan jān-e-mudda.ā samjhā thā maiñ
aa rahā hai kyuuñ kisī kā naam hoñToñ tak mire
ai dil-e-muztar tujhe sabr-āzmā samjhā thā maiñ
aap to har har qadam par ho rahe haiñ jalva-gar
aap ko hadd-e-nazar se māvarā samjhā thā maiñ
ye fuġhāñ ye shor ye naale ye shevan the fuzūl
kyā batātī thī mohabbat aur kyā samjhā thā maiñ
us nigāh-e-nāz ne 'bahzād' mujh ko kho diyā
jis nigāh-e-nāz ko apnī davā samjhā thā maiñ