chashm-e-hasīñ meñ hai na ruḳh-e-fitna-gar meñ hai
duniyā kā har fareb fareb-e-nazar meñ hai
ab kyā ḳhabar ki dil meñ hai kyā kyā jigar meñ hai
ab to tirī nazar kā tamāshā nazar meñ hai
īmān rakh ke kyā karūñ farsūda chiiz hai
mastī mujhe qubūl ki terī nazar meñ hai
nāsūr dard-e-zaḳhm tapish soz-o-iztirāb
sāmān sau tarah kā dil-e-muḳhtasar meñ hai
hāzir hai us ke vāste jis ko ho aarzū
haañ ik lahū kī buuñd mirī chashm-e-tar meñ hai
qismat se mil ga.ī hai ye bedārī-e-hayāt
is ishq ke nisār ki duniyā nazar meñ hai
mujh ko na din ko chain na shab ko sukūñ nasīb
ik rabt-e-dā.imī mirī shām-o-sahar meñ hai
hairat se dekhiye na mire sajda-hā-e-shauq
ye āstāñ kuchh aur hī merī nazar meñ hai
baaqī haiñ ba.ad-e-tauba bhī rindī ke valvale
dil meñ ḳhayāl-e-bāda hai sāġhar nazar meñ hai
achchhī milī hai mujh ko ye dīvāngī-e-shauq
duniyā kā har ḳhayāl dil-e-be-ḳhabar meñ hai
do qatra-hā-e-ḳhūñ sar-e-mizhgāñ haiñ muntazir
'bahzād' do-jahāñ kā tamāshā nazar meñ hai