lab pe hai fariyād ashkoñ kī ravānī ho chukī
ik kahānī chhiḌ rahī hai ik kahānī ho chukī
mehr ke parde meñ puurī dil-sitānī ho chukī
banda-parvar rahm kījiye mehrbānī ho chukī
merā dil taakā gayā jaur o jafā ke vāste
jab ki puure rañg par un kī javānī ho chukī
jā.iye bhī kyuuñ mujhe jhūTī tashaffī dījiye
aap se aur mere dil kī tarjumānī ho chukī
aa gayā ai sunñe vaale ab mujhe pās-e-vafā
ab bayāñ rūdād-e-dil merī zabānī ho chukī
āḳhirī aañsū mirī chashm-e-alam se gir chukā
sunñe vaalo ḳhatm ab merī kahānī ho chukī
ham bhī tañg aa hī ga.e āḳhir niyāz o naaz se
haañ ḳhushā qismat ki un kī mehrbānī ho chukī
sunñe vaale sūrat-e-tasvīr baiThe haiñ tamām
hazrat-e-'bahzād' bas jādū-bayānī ho chukī