ḳhushī mahsūs kartā huuñ na ġham mahsūs kartā huuñ
magar haañ dil meñ kuchh kuchh zer-o-bam mahsūs kartā huuñ
mohabbat kī ye nairañgī bhī duniyā se nirālī hai
alam koī nahīñ lekin alam mahsūs kartā huuñ
mirī nazroñ meñ ab baaqī nahīñ hai zauq-e-kufr-o-dīñ
maiñ ik markaz pe ab dair-o-haram mahsūs kartā huuñ
jo lutf-e-zindagānī mil rahā thā ghaTtā jaatā hai
ḳhalish jo dil meñ rahtī thī vo kam mahsūs kartā huuñ
tumhāre zikr par kab munhasir hai dil kī betābī
kisī kā zikr ho maiñ chashm-e-nam mahsūs kartā huuñ
kabhī paatā huuñ dil meñ ek hashr-e-dard-e-betābī
kabhī maiñ apne dil meñ dard-o-ġham mahsūs kartā huuñ
zabāñ par merī shikva aa nahīñ saktā zamāne kā
ki har aalam ko maiñ un kā karam mahsūs kartā huuñ
ye dil meñ hai jo ghabrāhaT ye āñkhoñ meñ hai jo aañsū
is ehsāñ ko bhī bālā-e-karam mahsūs kartā huuñ
ḳhushī kī mujh ko ab bahzād kuchh hājat nahīñ baaqī
ki ġham ko bhī maiñ ab un kā karam mahsūs kartā huuñ