Behzad Lakhnavi

dil mera tera taba-e-farman hai kya karun

Behzad Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1900-1974
dil merā terā tāba-e-farmāñ hai kyā karūñ
ab terā kufr hī mirā īmāñ hai kyā karūñ
bā-hosh huuñ magar mirā dāman hai chaak chaak
aalam ye dekh dekh ke hairāñ hai kyā karūñ
har tarah kā sukūn hai har tarah kā hai kaif
phir bhī ye merā qalb pareshāñ hai kyā karūñ
kahtā nahīñ huuñ aur zamāna hai bā-ḳhabar
chehre se dil kā haal numāyāñ hai kyā karūñ
dāman karūñ na chaak ye mumkin to hai magar
muztar har ek tār-e-garebāñ hai kyā karūñ
saada sā ik varaq huuñ kitāb-e-hayāt kā
hasrat se ab na ab koī armāñ hai kyā karūñ
har samt pā rahā huuñ vahī rañg-e-dil-fareb
hāthoñ meñ kufr ke mirā īmāñ hai kyā karūñ
dāġhoñ kā qalb-e-zār se mumkin to hai ilaaj
un ke hī dam se dil meñ charāġhāñ hai kyā karūñ
ik be-vafā ke vāste se sab kuchh luTā diyā
'bahzād' ab na diin na īmāñ hai kyā karūñ
Top Urdushayar.com