Behzad Lakhnavi

ai jazba-e-dil gar main chahun har chiz muqabil aa jae

Behzad Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1900-1974
ai jazba-e-dil gar maiñ chāhūñ har chiiz muqābil aa jaa.e
manzil ke liye do gaam chalūñ aur sāmne manzil aa jaa.e
ai dil kī lagī chal yūñhī sahī chaltā to huuñ un kī mahfil meñ
us vaqt mujhe chauñkā denā jab rañg pe mahfil aa jaa.e
ai rahbar-e-kāmil chalne ko tayyār to huuñ par yaad rahe
us vaqt mujhe bhaTkā denā jab sāmne manzil aa jaa.e
haañ yaad mujhe tum kar lenā āvāz mujhe tum de lenā
is rāh-e-mohabbat meñ koī darpesh jo mushkil aa jaa.e
ab kyuuñ DhūñDūñ vo chashm-e-karam hone de sitam bālā-e-sitam
maiñ chāhtā huuñ ai jazba-e-ġham mushkil pas-e-mushkil aa jaa.e
is jazba-e-dil ke baare meñ ik mashvara tum se letā huuñ
us vaqt mujhe kyā lāzim hai jab tujh pe mirā dil aa jaa.e
ai barq-e-tajallī kauñdh zarā kyā mujh ko bhī muusā samjhā hai
maiñ tuur nahīñ jo jal jā.ūñ jo chāhe muqābil aa jaa.e
kashtī ko ḳhudā par chhoḌ bhī de kashtī kā ḳhudā ḳhud hāfiz hai
mushkil to nahīñ in maujoñ meñ bahtā huā sāhil aa jaa.e
Top Urdushayar.com