kyā ye bhī maiñ batlā duuñ tū kaun hai maiñ kyā huuñ
tū jān-e-tamāshā hai maiñ mahv-e-tamāshā huuñ
tū bā.is-e-hastī hai maiñ hāsil-e-hastī huuñ
tū ḳhāliq-e-ulfat hai aur maiñ tirā banda huuñ
jab tak na milā thā tū ai fitna-e-do-ālam
jab dard se ġhāfil thā ab dard kī duniyā huuñ
kuchh farq nahīñ tujh meñ aur mujh meñ koī lekin
tū aur kisī kā hai bedard maiñ terā huuñ
muddat huī kho baiThā sarmāya-e-taskīñ maiñ
ab to tirī furqat meñ din raat taḌaptā huuñ
armān nahīñ koī go dil meñ mire lekin
allāh rī majbūrī majbūr-e-tamannā huuñ
'bahzād'-e-hazīñ mujh par ik kaif sā taarī hai
ab ye mirā aalam hai hañstā huuñ na rotā huuñ