ḳhudā ko DhūñD rahā thā kahīñ ḳhudā na milā
zahe-nasīb ki bande ko mudda.ā na milā
nigāh-e-shauq meñ be-nūriyoñ kā rañg baḌhā
nigāh-e-shauq ko jab koī dūsrā na milā
ham apnī be-ḳhudī-e-shauq par nisār rahe
ḳhudī ko DhūñDh liyā jab hameñ ḳhudā na milā
tumhārī bazm meñ lab khol kar huā ḳhāmosh
vo bad-nasīb jise koī aasrā na milā
har ek zarre meñ maiñ ḳhud to aa rahā thā nazar
ajiib baat tumhārā kahīñ pata na milā
bas ik sukūn hī ham ko na mil sakā tā-umr
vagarna tere tasadduq meñ ham ko kyā na milā
tirī nigāh-e-mohabbat-navāz hī kī qasam
ki aaj tak to hameñ tujh sā dūsrā na milā
tirā jamāl fazāoñ meñ muntashir thā magar
nigāh-e-shauq ko phir bhī tirā pata na milā
hazār Thokareñ khā.īñ hazār sū 'bahzād'
jahān-e-husn meñ koī bhī bā-vafā na milā