Behzad Lakhnavi

mohabbat mustaqil kaif-afrin malum hoti hai

Behzad Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1900-1974
mohabbat mustaqil kaif-āfrīñ mālūm hotī hai
ḳhalish dil meñ jahāñ par thī vahīñ mālūm hotī hai
tire jalvoñ se Takrā kar nahīñ mālūm hotī hai
nazar bhī ek mauj-e-tah-nashīñ mālūm hotī hai
nuqūsh-e-pā ke sadqe bandagī-e-ishq ke qurbāñ
mujhe har samt apnī hī jabīñ mālūm hotī hai
mirī rag rag meñ yuuñ to dauḌtī hai ishq kī bijlī
kahīñ zāhir nahīñ hotī kahīñ mālūm hotī hai
ye e.ajāz-e-nazar kab hai ye kab hai husn kī kāvish
hasīñ jo chiiz hotī hai hasīñ mālūm hotī hai
umīdeñ toḌ de mere dil-e-muztar ḳhudā-hāfiz
zabān-e-husn par ab tak nahīñ mālūm hotī hai
use kyuuñ mai-kada kahtā hai batlā de mire saaqī
yahāñ kī sar-zamīñ ḳhuld-e-barīñ mālūm hotī hai
are ai chāra-gar haañ haañ ḳhalish tū jis ko kahtā hai
ye shai dil meñ nahīñ dil ke qarīñ mālūm hotī hai
kisī ke pā-e-nāzuk par jhukī hai aur nahīñ uThtī
mujhe 'bahzād' ye apnī jabīñ mālūm hotī hai
Top Urdushayar.com