hai ḳhirad-mandī yahī bā-hosh dīvāna rahe
hai vahī apnā ki jo apne se begāna rahe
kufr se ye iltijā.eñ kar rahā huuñ baar baar
jā.ūñ to ka.aba magar ruḳh sū-e-mai-ḳhāna rahe
sham-e-sozāñ kuchh ḳhabar bhī hai tujhe o mast-e-ġham
husn-e-mahfil hai jabhī jab tak ki parvāna rahe
zaḳhm-e-dil ai zaḳhm-e-dil nāsūr kyuuñ bantā nahīñ
lutf to jab hai ki afsāne meñ afsāna rahe
ham ko vaa.iz kā bhī dil rakhnā hai saaqī kā bhī dil
ham to tauba kar ke bhī pāband-e-maiḳhana rahe
āḳhirash kab tak raheñgī husn kī nādāniyāñ
husn se pūchho ki kab tak ishq dīvāna rahe
faiz-e-rāh-e-ishq hai yā faiz-e-jazb-e-ishq hai
ham to manzil pā ke bhī manzil se begāna rahe
mai-kade meñ ham duā.eñ kar rahe haiñ baar baar
is taraf bhī chashm-e-mast-e-pīr-e-mai-ḳhāna rahe
aaj to saaqī se ye 'bahzād' ne bāñdhā hai ahd
lab pe tauba ho magar hāthoñ meñ paimāna rahe