Behzad Lakhnavi

yun to jo chahe yahan sahab-e-mahfil ho jae

Behzad Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1900-1974
yuuñ to jo chāhe yahāñ sāhab-e-mahfil ho jaa.e
bazm us shaḳhs kī hai tū jise hāsil ho jaa.e
nāḳhudā ai mirī kashtī ke chalāne vaale
lutf to jab hai ki har mauj hī sāhil ho jaa.e
is liye chal ke har ik gaam pe ruk jaatā huuñ
tā na be-kaif ġham-e-dūri-e-manzil ho jaa.e
tujh ko apnī hī qasam ye to batā de mujh ko
kyā ye mumkin hai kabhī tū mujhe hāsil ho jaa.e
haa.e us vaqt dil-e-zār kā aalam kyā ho
gar mohabbat hī mohabbat ke muqābil ho jaa.e
phīkā phīkā hai mirī bazm-e-mohabbat kā charāġh
tum jo aa jaao to kuchh raunaq-e-mahfil ho jaa.e
terī nazreñ jo zarā mujh pe karam farmā.eñ
terī nazroñ kī qasam phir yahī dil dil ho jaa.e
hosh us ke haiñ ye jaam us kā hai tū hai us kā
mai-kade meñ tire jo shaḳhs bhī ġhāfil ho jaa.e
fitnagar shauq se 'bahzād' ko kar de pāmāl
is se taskīn-e-dilī gar tujhe hāsil ho jaa.e
Top Urdushayar.com