tujh par mirī mohabbat qurbān ho na jaa.e
ye kufr baḌhte baḌhte īmān ho na jaa.e
allāh rī be-naqābī us jān-e-mudda.ā kī
merī nigāh-e-hasrat hairān ho na jaa.e
merī taraf na dekho apnī nazar ko roko
duniyā-e-āshiqī meñ haijān ho na jaa.e
palkoñ pe ruk gayā hai aa kar jo ek aañsū
ye qatra baḌhte baḌhte tūfān ho na jaa.e
hadd-e-sitam to hai bhī hadd-e-vafā nahīñ hai
zālim tirā sitam bhī ehsān ho na jaa.e
hotī nahīñ hai vaq.at hotī nahīñ hai izzat
jab tak ki koī insāñ insān ho na jaa.e
us vaqt tak mukammal hotā nahīñ hai koī
jab tak ki ḳhud ko apnī pahchān ho na jaa.e
'bahzād' is liye maiñ kahtā nahīñ huuñ dil kī
Dartā huuñ sun ke duniyā hairān ho na jaa.e