fariyād hai ab lab par jab ashk-fishānī thī
ye aur kahānī hai vo aur kahānī thī
ab dil meñ rahā kyā hai juz hasrat-o-nākāmī
vo niish kahāñ baaqī ḳhud jis kī nishānī thī
jab dard sā thā dil meñ ab dard hī ḳhud dil hai
haañ ab jo haqīqat hai pahle ye kahānī thī
pur-āb sī rahtī thiiñ pahle ye mirī āñkheñ
haañ haañ isī dariyā meñ ashkoñ kī ravānī thī
ai chashm haqīqat meñ duniyā ko ye samjhā de
baaqī bhī vahī niklī jo chiiz ki faanī thī
bulbul ne to afsāna apnā hī sunāyā thā
gulshan kī kahānī to phūloñ kī zabānī thī
yuuñ ashk bahā.e the yuuñ kiiñ na thiiñ fariyādeñ
ik baat chhupānī thī ik baat batānī thī
saada nazar aatā hai ab to varaq-e-dāman
ab tak mire dāman par āñkhoñ kī nishānī thī
'bahzād' kā vo aalam bhī ḳhuub hī aalam thā
'bahzād' kī nazroñ meñ har chiiz javānī thī