honā hī kyā zarūr the ye do-jahāñ haiñ kyuuñ
allāh ik fareb meñ kaun-o-makāñ haiñ kyuuñ
sunte haiñ ek dard to uThtā hai bār-bār
us kī ḳhabar nahīñ hai ki aañsū ravāñ haiñ kyuuñ
in be-niyāziyoñ meñ bhī shān-e-niyāz hai
sajde nahīñ pasand to phir āstāñ haiñ kyuuñ
jis gulistāñ meñ roz taḌaptī haiñ bijliyāñ
yārab usī chaman meñ ye phir āshiyāñ haiñ kyuuñ
is kā hameñ malāl hai ham kyuuñ badal ga.e
is kā nahīñ malāl ki vo bad-gumāñ haiñ kyuuñ
jab dil nahīñ rahā to tamannā kā kaam kyā
jab kārvāñ nahīñ to pas-e-kārvāñ haiñ kyuuñ
'bahzād' un ke hijr meñ ghabrā rahā hai dil
ab kyā kaheñ kisī se ki bas ḳhānumāñ haiñ kyuuñ