Saurabh Shekhar

mila na khet se usko bhi aab-o-dana kya

Saurabh Shekhar

milā na khet se us ko bhī āb-o-dāna kyā
kisān shahr ko phir ik huā ravāna kyā
kahāñ se laa.e ho palkoñ pe tum guhar itne
tumhāre haath lagā hai koī ḳhazāna kyā
fazā kā habs kisī taur ab nahīñ jaatā
ki talḳh dhuup kyā mausam koī suhānā kyā
tamām tarah ke samjhaute karne paḌte haiñ
miyāñ mazāq grihastī ko hai chalānā kyā
gunāh kuchh to mujhe be-tarah lubhāte haiñ
ye raaz khol hī detā huuñ ab chhupānā kyā
ho dushmanī bhī kisī se to dā.imī kyuuñ ho
jo TuuT jaa.e zarā meñ vo dostāna kyā
ḳhabar-naves nahīñ huuñ maiñ ek shā.er huuñ
tamām misre haiñ mere nayā purānā kyā
na dhar le ruup kabhī jhoñk meñ talātum kā
vo narm-rau hai nadī kā magar Thikānā kyā
karo to muñh pe malāmat karo mirī 'saurabh'
ye merī piiTh ke pīchhe se phusphusānā kyā
Top Urdushayar.com