merī tujh se kyā Takkar hai
maiñ ik shai tū saudāgar hai
ḳhvābo tum āhista aanā
merī niiñd kā pul jarjar hai
ġhāfil rahne do bachchoñ ko
phir to aage Dar hī Dar hai
dukhiyāroñ kī is bastī ke
har ghar meñ ik pūjā-ghar hai
shaam meñ din tabdīl huā ab
ab har saaya qad-āvar hai
achchhe muuD meñ hai vo dil kī
kahne kā achchhā avsar hai
haath milāo ahl-e-mohabbat
nafrat kaafī tāqat-var hai
sach mat bolo us pāgal se
us ke hāthoñ meñ patthar hai
ġhībat kī is āb-o-havā meñ
'saurabh' kā rahnā dūbhar hai