paanī meñ kañkar barsāyā karte the
vo din jab ham lamhe zaayā karte the
hoḌ havā se aksar lagtī thī apnī
aksar us ko dhuul chaTāyā karte the
dekh ke ham ko rāhguzar muskātī thī
peḌ bhī aage baḌh kar chhāyā karte the
dhuup baTorā karte the ham saarā din
shaam ko baañT ke ghar le jaayā karte the
aaj ghaTā afsurda kartī hai ham ko
ham bārish meñ ḳhuub nahāyā karte the
ek yahī ham dekheñ sab ḳhāmoshī se
ek yahī ham shor machāyā karte the
'saurabh' shab thī ek varaq saada jis par
likh likh kar ham ḳhvāb miTāyā karte the