chuur anā kar dī patthar-pan toḌ diyā
aag ne kuchh pal meñ pighlā kar lohā moḌ diyā
fikr mujhe apne bachchoñ ke sar kī hotī thī
jarjar ghar thā sachchā.ī kā āḳhir chhoḌ diyā
apne chāroñ or uThā dī maiñ ne dīvāreñ
ik surāḳh magar maazī kā us meñ chhoḌ dayā
noch gharauñdā bhī na bharā jab us bandar kā jī
us ne phir chiḌiyā kā ik ik anDā phoḌ diyā
pīchhe pīchhe ghar aa jaate haiñ kuchh pāltū Dar
laakh unheñ maiñ ne rasta bhaTkā kar chhoḌ diyā
roz-o-shab ke imtihān se aajiz aa kar aaj
phaaḌ diyā parcha maiñ ne uttar moḌ diyā