sāmān hai is darja ambār se sar phoḌo
dīdār karo chhat kā dīvār se sar phoḌo
dariyā ke musāfir ko sāhil kī tamannā kyuuñ
gardāb se tum uljho mañjhdār se sar phoḌo
āġhosh meñ T.V kī har shaam karo kaalī
har sub.h isī baasī aḳhbār se sar phoḌo
duniyā ke takabbur se tum ba.ad meñ Takrānā
filhāl miyāñ apne pindār se sar phoḌo
mat dekh ke ghabrāo logoñ se paTī saḌkeñ
behtar hai isī rashk-e-kohsār se sar phoḌo
komal haiñ rageñ is kī nāzuk hai badan 'saurabh'
ārām se dhīre se ab pyaar se sar phoḌo