āsāñ to na thā dhuup meñ sahrā kā safar kuchh
bā-faiz magar milte rahe mujh ko shajar kuchh
pursish na karo mujh se marā haal na pūchho
ukhḌā sā zarā rahtā hai jī merā idhar kuchh
sailāb na ho to na ho dil meñ bhī talātum
paanī to rahe Duub ke marne ko magar kuchh
itnā hī ġhanī hai jo samundar to kaho vo
sāhil pe bahā laa.e kabhī la.al-o-guhar kuchh
nāzil hai jo ye ujlā sā añdherā sā fazā par
mumkin hai ki is shab meñ ho paivast sahar kuchh
āvāz bhī lahrā.ī thī halchal bhī huī thī
ik pal ko to kuchh ubhrā thā aayā thā nazar kuchh
shānoñ kā ye ḳham tujh meñ na.ī baat hai 'saurabh'
ā.īna kabhī dekho rakho apnī ḳhabar kuchh