Saurabh Shekhar

ek rauzan ke abhi kirdar mein hun main

Saurabh Shekhar

ek rauzan ke abhī kirdār meñ huuñ maiñ
ġhaur se dekho isī dīvār meñ huuñ maiñ
sab manāzir zard se paḌne lage haiñ yā
be-yaqīnī ke isī āzār meñ huuñ maiñ
TuuT jaa.e āsmāñ dhartī bhī phaT jaa.e
kyā mujhe parvā ki bazm-e-yār meñ huuñ maiñ
zehn meñ aulād hai aur ghar kī jānib huuñ
ruk nahīñ saktā abhī raftār meñ huuñ maiñ
ghar kī har shai kyuuñ mujhe be-nūr lagtī hai
kyā ziyāda aaj kal bāzār meñ huuñ maiñ
shohratoñ kā āḳhirī chāra jarā.em the
dekhiye ab kis qadar aḳhbār meñ huuñ maiñ
guftugū se kab mujhe parhez hai 'saurabh'
boltā suntā magar ash.ār meñ huuñ maiñ
Top Urdushayar.com