Saurabh Shekhar

ek charagh-e-dil faqat raushan agar mera bhi hai

Saurabh Shekhar

ik charāġh-e-dil faqat raushan agar merā bhī hai
rahnumā merā bhī hai phir rāhbar merā bhī hai
ab talak hairān huuñ maiñ raat ke us ḳhvāb se
ḳhuun kī barsāt hai ghar tar-ba-tar merā bhī hai
shart har manzūr kar lī zindagī kī maiñ ne bhī
dastaḳhat ab is qarār-e-zīst par merā bhī hai
yuuñ bahāroñ ke liye mahv-e-duā rahtā huuñ maiñ
phuul kī mānind ik laḳht-e-jigar merā bhī hai
husn hai tū terā bhī charchā rahegā dā.imī
ishq huuñ maiñ aur afsāna amar merā bhī hai
peḌ miTTī dhuup paanī meñ adāvat ho ga.ī
phuul lagte hī sabhī bole samar merā bhī hai
māh-o-anjum rakh na rakh us meñ mire mālik magar
āsmāñ ik chāhiye mujh ko ki sar merā bhī hai
ālamoñ kī baat kā 'saurabh' bharosa hai mujhe
tajraba kuchh zindagī kā haañ magar merā bhī hai
Top Urdushayar.com