ghar ke bāhar bhī to jhāñkā jā saktā hai
aur kisī kā rasta dekhā jā saktā hai
raat guzārī jā saktī hai taare gin kar
din meñ chādar taan ke soyā jā saktā hai
shikve duur kiye jā sakte haiñ yāroñ se
is sunday ko phone ghumāyā jā saktā hai
us ke jaisā hī ab kuchh hāsil hai mujh ko
ab us kī ḳhvāhish ko chhoḌā jā saktā hai
vaise paisa hī sab kuchh hai is duniyā meñ
lekin paise par bhī thūkā jā saktā hai
va.ada karne meñ kaisī ghabrāhaT pyāre
va.ade se ik pal meñ palTā jā saktā hai
mere an-dekhī karne kā hai kyā kāran
kam se kam us se pūchhā jā saktā hai
maiñ apne chehre se thoḌā uub gayā huuñ
kyā apnā chehra bhī badlā jā saktā hai
sher kahe jā sakte haiñ paripāTī vaale
aur zamīnoñ par bhī sochā jā saktā hai
dhīre dhīre zālim kī jaḌ khodo 'saurabh'
rassī se chaTTān ko kaaTā jā saktā hai