vīrāniyoñ ke ḳhaar to phūloñ kī chhuvan bhī
is raah meñ aa.e haiñ bayābāñ bhī chaman bhī
khulnā thā faqat ek darīcha mire ghar kā
phir raushnī bhī aa.ii, huī duur ghuTan bhī
bachche ne sajā.ī hai koī aur hī duniyā
khīñchā hai jahāñ baagh vahīñ rakkhā hai hiran bhī
yaad apne vatan kī mujhe aatī nahīñ ab to
ab bhuul chukā hogā mujhe merā vatan bhī
hassās banā Daalā mujhe had se ziyāda
aur is pe mohabbat ne diyā sher kā fan bhī
kis khoj meñ the shahr ke sab log na jaane
chehroñ pe udāsī bhī hai āñkhoñ meñ thakan bhī
āsān nahīñ hai ye safar ruuh kā 'saurabh'
haa.il hai tirī raah meñ ik dasht-e-badan bhī