yaqīn mar gayā mirā gumān bhī nahīñ bachā
kahīñ kisī ḳhayāl kā nishān bhī nahīñ bachā
ḳhamoshiyāñ tamām ġharq ho ga.iiñ ḳhalāoñ meñ
vo zalzala thā sāhibo bayān bhī nahīñ bachā
nadī ke sar pe jaise intiqām sā savār thā
ki bāñdh fasl pul bahe makān bhī nahīñ bachā
hujūm se nikal ke bach gayā udhar vo aadmī
idhar hujūm ke maiñ darmiyān bhī nahīñ bachā
zamīñ darak ga.ī sulagtī bastiyoñ kī aag se
ġhubār vo uThā ki āsmān bhī nahīñ bachā
bikhartī-TūTtī fasīl niiv ko hilā ga.ī
ki daaġh zaat par thā ḳhāndān bhī nahīñ bachā
tamām mushkiloñ ko ham ne niiñd meñ dabā diyā
khulā ye phir ki koī imtihān bhī nahīñ bachā