Saurabh Shekhar

sanjidgi ki KHas zarurat to hai nahin

Saurabh Shekhar

sanjīdgī kī ḳhaas zarūrat to hai nahīñ
afsāna hai ye ziist haqīqat to hai nahīñ
adnā sā ek dā.era hai ishq-o-uns kā
is dil meñ āsmān kī vus.at to hai nahīñ
ik soch hai zarā sī mirī tum se muḳhtalif
kuchh merī tum se zaatī adāvat to hai nahīñ
bāzār se hai sab ko munāfe kī hī ġharaz
par sab ke paas tarz-e-tijārat to hai nahīñ
us ne zarūr kar liyā iqbāl jurm kā
lekin nazar meñ us ke nadāmat to hai nahīñ
likkhā hai thoḌī naam kisī kā havāoñ par
ye dhuup bhī kisī kī virāsat to hai nahīñ
'saurabh' tujhe ye ḳhauf hai rusvā.iyoñ kā kyuuñ
aisī tirī samāj meñ izzat to hai nahīñ
Top Urdushayar.com