ḳhayāl lams kā kār-e-savāb jaisā thā
asar sadā kā bhī mauj-e-sharāb jaisā thā
varaq nuche hue sab lafz o ma.anī gum-sum the
ye baat sach hai vo chehra kitāb jaisā thā
tamām raat vo pahlū ko garm kartā rahā
kisī kī yaad kā nashsha sharāb jaisā thā
udaas zarroñ ke ham-rāh koī phirtā rahā
ḳhamoshiyoñ kā bayābāñ sarāb jaisā thā
ik umr khoī to ye raaz mujh pe faash huā
ḳhayāl-e-mahr-o-vafā naqsh-e-āb jaisā thā