Abrar Azmi

kis ka hai jurm kis ki KHata sochna paDa

Abrar Azmi

Gorakhpur, Uttar pradesh, India

1936
kis kā hai jurm kis kī ḳhatā sochnā paḌā
rahte haiñ kyuuñ vo ham se ḳhafā sochnā paḌā
gul kī hañsī meñ raqs-e-nujūm-o-qamar meñ bhī
shāmil hai kitnī terī adā sochnā paḌā
jab bhī mirī vafāoñ kī baat aa ga.ī kahīñ
un ko phir ek uzr-e-jafā sochnā paḌā
ġhunche udaas gul haiñ fasurda chaman chaman
kis kā karam hai bād-e-sabā sochnā paḌā
shāyad tumhārī yaad mire paas aa ga.ī
yā hai mire hī dil kī sadā sochnā paḌā
jab bhī koī bhaTak ke sar-e-rāh aa gayā
kitnī kaThin hai rāh-e-vafā sochnā paḌā
zindāñ kī baat daar ke charche rasan kā zikr
kitnī ajab hai tab-e-rasā sochnā paḌā
Top Urdushayar.com