zamīneñ jal rahīñ haiñ aur shajar sairāb haiñ saare
manāzir is nagar ke kis qadar shādāb haiñ saare
dhueñ meñ saañs letī Tahniyoñ par chahchahāte haiñ
parinde muḳhtalif rañgo ke jo nāyāb haiñ saare
kahīñ sūraj bhī qaidī hai kisī tārīk zindāñ meñ
kahīñ zarre bhī tābāñ sūrat-e-mahtāb haiñ saare
yahāñ aaseb kī tahvīl meñ hai niiñd kī devī
yahāñ ke log ḳhvāboñ ke liye betāb haiñ saare
diloñ meñ ek dukh sā hai gharoñ meñ kuchh na hone kā
muhayyā saarī bastī ko magar asbāb haiñ saare