nauhagar se na kisī ā.īna-ḳhāne se huī
mo'tabar zaat mirī mere zamāne se huī
rañg kyā kyā na bhare husn-e-nazar ne lekin
terī tasvīr mukammal tire aane se huī
qadr-o-qīmat in añdheroñ kī na pūchho mujh se
raushnī ghar meñ charāġhoñ ke jalāne se huī
rāste kā koī patthar nahīñ pahchān banā
jitnī tash.hīr huī ḳhaak uḌāne se huī
mutma.in mar ke huā kartā hai jiine vaalā
jab bhī kam bhuuk huī Thokareñ khāne se huī
katraneñ joḌ ke tayyār kiyā apnā libās
izzat-e-faqr faqīrī ko chhupāne se huī
jab baḌhī had se ḳhushī bhiig ga.ī haiñ āñkheñ
ġham kī tahrīk hameñ jashn manāne se huī
itnā ġham pyaas kā apnī nahīñ 'najmī' ne kiyā
jitnī taskīn koī aag bujhāne se huī